Kwaja Garib Nawaz

 *KHWAJA GARIB NAWAZ REHMAT ULLAH ALIHE*

💐🌹💐🌹


🌺 Sultan-ul-Hind Khwaja Syed Moinuddin Ajmeri Rehmatullahi Ta'aala Alaih Hanfi Mazhab Rakhte They,  Khurasan Mei 14 Rajab 527 Hijri Ko Paida Hue! Aap Ke Walid Hazrat Gayasuddin Hussaini Sayyed they Aur Walida Majida Mohtarma Mahe Noor Hasani Sayyeda Thin,

🌺 Mashoor Hai Ki Khwaja Gareeb Nawaz Rahmatullahi Ta'aala Alaih Ki Wafaat Ke Baad Aap Ki Peshaani Par Yeh Naqsh Zaahir Hua, _*Habeeb'ullah Mata Fee Hub'billah*_


*Yaani ALLAH Ka Habeeb ALLAH Ki Muhabbat Mein Duniya Se Rukhsat Hua.*


Ref:-📚 Kya Aap Jante Hai

( Saafa No- 488)

________________

*part 1*...




*🌹SULTANUL HIND KHWAJA GAREEB NAWAZ R.A🌹*

➖➖➖➖➖➖➖➖➖

*SULTANUL HIND KHWAJA GAREEB NAWAZ R.A KA BACHPAN*

____________________________

 Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz  Sayyed the aur muttaqi, paarsa, ki Goud k paley they is liye aap ki parwarish nihayat mazhabi mahol mei hui. Bachpan mei bhi Aap Aam Baccho ki tarah Khel Kud se dur raha kartey they Aap ki peshani-e-Mubarak par Ek Aisa Noor Chamakta Rehta tha ki jo bhi Aap ko bachpan mei dekhta dekhta rah jata chunki Khudawand Quddus ne Aap ki Qismat mei Hindustan k WALIYON par BADSHAHI karna likh di thi is liye aap bachpan se he ziyada tar waqt yaade Elahi mei guzartey, Ibtidai ta'aleem Walide Buzurgwar se Hasil thi, uske baad khurasaan mei Ta'aleem hasil ki.

Aapne 9 Baras ki umr mei Qur'an Shareef Hifz kar liya tha. Phir Madarse se Tafseer Hadees aur Fiqah ki bhi Aala Ta'aleem Hasil ki , Aap bohat he kam Umr they Jab saare Uloomo-Funoon se farig ho gae they..


*KHWAJA GAREEB NAWAZ R.A KO YATEEMI KA DAAG*


Jab Aap ki Umr Shareef 15 Baras ki hui to aap k Shafeeq Walid e Mohtaram is duniya ko khairbaad keh gae aur Aap yateem ho gae.

*Ref ( Mara'ate Masoodi )*


Aap ko Meeras ki Haisiyat mei ek Baagh aur Ek panchakki mili. Kuch dinon tak Aap isi se Apna kharch chalte rahe Baagh ki Nighbani khud he farmate zindagi Sukh chain se guzar rahi thi Lekin Qudrat ne to Aap ko insanon k Baagh Sajaane aur sawarne k liye paida farmaya tha lihaza kuch dinon k baad Aap Apne Baagh aur panchakki ko Gareebon aur Yateemon mein Taqseem Farmakar khuda ki Raah mei chal diye...


*Ref ( Ata-E-Rasool Sultanul Hind Khwaja Gareeb Nawaz )*

*part 2*.....

To Be Continued...




*🌹Shaan e Sarkaar Ghareeb Nawaz رضي الله عنه Sultan ul Hind🌹*

*بسم الله الرحمن الرحيم*

*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ* 


*Eid ka Din tha har Taraf khushiyo ka mahaul tha* 

*Sarkaar Ghareeb Nawaz رضي الله عنه ke bachpan ka zamana tha, Aap apne ghar walo ke hamraah Nihayat Umda aur Nafees Libas Zeb e tan farma kar Namaz e Eid k liye Eid Gaah jaa Rahe they Raastey mei ek Nabeena ladke ko phate purane kapde mei malboos dekha, Sarkar Ghareeb Nawaz رضي الله عنه ko uski ghareebi aur lachari dekh kar bohat dukh hua. Natije k taur par Aapne Apna khubsoorat libas uss Ghareeb Nabeena ladke ko pehna diya aur khud doosre kapde pehan kar usse Apne saath Eid Gaah le gaye...*


*Ye waqiya ki Roushni mei yeh Andaza lagana Aasan hai ki Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه bachpan, ahade Tifli aur shir khwargi mei hi nahi balki Khalaki aur Paidaishi Gareeb Nawaz hai...*


*Ye sifat khaas Aap ki Hayat e Zaahiri Tak he nahi balki Zaahiri parda farmane k baad bhi Aapse kabhi kisi Haal mei juda naa ho saki...*


*Chunanche Aaj bhi Aap usi Tarah Ghareebon, majbooron, Bekason, Mazloomon aur be-Saharon ko Nazdik o Dur se khoob khoob Nawazte hain...*


*Aur InShaaAllah Ta'ala Subhe Qayamat tak hum Ghareebo k liye Aap Ghareeb Nawaz Rahenge...*


*Seerat e Khawaja Ghareeb Nawaz رضي الله عنه, Safah 184*


*part 3*.....




*🌹Sultan ul Hind🌹*

----------------------------

➡ 44 Hijri mei Ek baar Aap Apne phalo k Bagiche (garden) mei kaam kar rahe they, tab Hazrat Ibraheem Qandoozi naam k ek durwesh waha aae aur baithe. Aap ne unko Apne Bagiche mei se Angoor ka guchha pesh kiya aur Unho ne usey khaya aur Mehman Nawazi se khush hokar Apne thailey (bag) mei se kuch nikala aur usey Chabakar Khwaja ko khane k liye diya. Aap ne khushi k Saath usey khaya to unke Fuyuzo Barakat se Aap k liye ilm o Hikmat k Darwaze khul gaye, aur Aap ne Apna sab kuch bech diya aur us Raqam ko Ghareebo aur Mohtajo ko khairat kar diya aur phir Aap Samarqand and Bukhara ki Taraf ilm e Deen sikhne k liye Rawana ho gae.


➡ 544 se 550 Hijri tak Aap wahan Hazrat maulana Hisaamuddeen aur Hazrat Moulana Sharfuddeen R.A Ajmaeen ke paas ilm e deen sikhte rahe.


➡ 550 Hijri mei Aap ki Mulaqat Huzoor Ghous e Aazam Radiallahu ta’ala Anhu se hui.

🌹🌹🌹🌹

*Part 4*


*🚩Sultan ul Hind🚩*

--------------------------------


🌹Aap ek kaamil peer ki Talaash mei

-----------------------------------

Aapne Khwaja Usman Haarooni

Rehmatullahi Alaihi ke baare mei suna. 552 Hijri mei Aap unke paas gaye

aur unke mureed hue, aur Ibadate Elahi aur Khidmat e Murshid kartey rahe.

Ek baar Khwaja Usman Harooni ne Aap se pucha:

‘Moinuddeen neche dekho, kya dikhta hai?’

Aapne neche dekh kar kaha:

‘Mai Zameen k Andar dekh sakta hun.’

Peer ne phir pucha:

‘Ab upar Dekho, Kya Dikhta hai?’

Aapne upar dekh kar kaha:

‘Mai Aasman k Andar dekh sakta hun.’

Peer ne farmaya:

‘Mai Tumhe is se bhi aage pohunchana chahta hun.’

22 saal peer ki khidmat mei Guzarne k baad, ek din peer ne phir Bulakar

Apni do ungliya Aap ki dono Aankho k Beech mei Rakhi aur phir farmaya:

‘Moinuddeen, Neeche Dekho, kya Dikhta hai?’

Aapne Neeche Dekh kar kaha:

‘Mai Tehtussara Tak Dekh Sakta hun.’

Phir Peer ne kaha:

‘Ab upar Dekho, Kya Dikhta hai?’

Aapne upar Dekh kar kaha:

‘Mai

Arsh e Aazam

tak Dekh sakta hun.’

Khwaja Usman Harooni ne khush hokar Aap ko khilafat ata farmai.

🌹🌹🌹🌹

*Part 5*



*🚩Sultan ul Hind🚩*

------------------------


Ek Baar Aap k peer Khwaja Usman Harooni Rehmatullahi Alaihi ne Apne

sab Mureedo ko jama kar k kaha:

‘Maine tumhe jo ilm Sikhaya hai us se kuch karamat pesh karo.’

Sab mureedo ne Baari Baari karamat se koi cheez pesh ki. Kisi ne sona, kisi ne chandi, kisi ne heerey jawaharat, kisi ne dinaro dirham pesh kiye.

Khwaja Moinuddeen ne Roti k Tukde pesh kiye.

Sab mureed Hasne lage.


Itne mei Darwaze par Ek sa’il ne Aawaz di:

‘Mai kai Din se Bhuka hun. Mujhe khane k liye kuch de do.’

Sab ne Apni Apni cheeze usko Dena chaha. Magar us sa’il nei kaha:

‘Mei is Sona -Chandi, Heerey jawaharat, Dinaro Dirham ka kya karun?

Mujhe to khane ke liye kuchh do.’

Phir Khwaja ne Apne Roti k tukde usko de diye. Us ne usey lekar bohat saari duaen di.

Is k Baad Khwaja Usman Harooni ne farmaya:

‘Aye Moinuddeen, Tum

‘Ghareeb Nawaz’

ho’.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

*Part 6*



*🚩Sultan Ul Hind🚩*

555 Hijri mei Hazrat Shaikh Ziyauddeen Abu Najib Abdul Qadir

Suharwardi Rehmatullahi Alaihi se mulaqat hui.

561 Hijri me Daata Ganj Bakhsh Rehmatullahi Alaihi k Mazaar par

Chilla-kashi ki.

563 Hijri mei Khwaja Usman Harooni ne Aap ko Jhubba Mubarak ata kiya aur Apne sath Hajj ko lekar gaye.

Ek baar Aap Makka shareef mei Masjid-e-Haram mei ibadat mei mashgool

they , Itne mei Ghaib se Aawaz aai:

‘Aye Moinuddeen, Tera Rabb tujh se Raazi hai, jo chaho mang lo.’

Aapne farmaya:

‘Aye mere Rabb, Silsila -e - Chishtiya mei Daakhil hone walo ko bakhsh

de.’

Phir Aawaz aai:

‘Maine Tumhari dua Qubool farmai hai aur Qayamat Tak k

silsila-e-Chishtiya me dakhil hone wale Ummat e Muhammadi ko Bakhsh dia hai.

🌹🌹🌹🌹🌹

*Part 7*



*🚩Sultan ul Hind🚩*

-------------------------

🌹Is ke baad jab Madina shareef pahunche aur Huzoor Sarwar e kaunain

Suallallaho Alaihe Wasallam

ko Salaam pesh kiya:

‘Assalatu Wassalaamu Alayka Ya Rehmatul lil Alamin’

Roza mubarak mei se jawab aaya:

‘Wa Alaikum Salaam Ya Qutbul Mashaikhe Bahro Bar’

(Aur tum par bhi salaamati ho, Aye zameen aur samundar k

buzurgo k Qutub’.)


🚩585 Hijri mei Aap Khwaja Qutbuddeen Bhakhtiyar Kaki R.A

k saath Harmain shareefain gaye to Sarkar e Madina Huzoor Suallallaho Alaihe Wasallam ne khwab me tashreef laakar farmaya:

‘Aye Moinuddeen, Tum deen k madadgar ho. Tum ab

Hindustan jaao aur waha jaahiliyat ko door kar k logo ko deen e islam ka sahi rasta dikhao.’

🚩Phir Aap Rawana hue ,Raaste mei bahut saare sufi Auliya se fayuzo barkaat haasil karte hue aur

hazaro logo ko Apna faiz ata karte aur deen ki sahi raah dikhate hue Aap

Hindustan mei Lahore me kuch arse k liye ruke. Waha se 587 hijri (1190

A.D.) mei 52 baras ki umr mei Rajputana (Rajasthan) Elaqe k Ajmer mei pahunche. Jahan Prithviraj Chauhan ki hukumat thi.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹

*Part 8..*



*🚩Sultan ul Hind🚩*

------------------------


Ek baar Khwaja Apne Saathiyo k saath ek Darakht k neche Baithe they, itne mei Raja k sipahiyo nei aakar kaha:

‘Tum sab yaha se khade ho jaao. Ye Raja ke Oonto k bethne ki jagah hai.’

Aap ne kaha: ‘Ye Oont doosri koi jagah par bhi beth sakte hain.’

To unho ne kaha: ‘Nahi, Ye Oont Roz yahi par Bethtey hain.’

To aap waha se khade ho gae aur farmaya:

‘Theek hai. Ab ye Oont yahi par bethenge.

Aur Aap dur chale gaye.

Kuch waqt ke baad Sipahiyo nei Oonto ko khade karne ki koshish ki to woh waha se khade na hue, Bohat koshish karne k baad nakaam hokar wo sab Raja k darbar mei haazir hue aur saari baaten bayan ki, Tou usne kaha:

‘Tum us Faqeer k paas jaao aur us se maafi maango.’

Wo sipahi khwaja ko dhundhte hue waha pahunche aur maafi maangi.

Khwaja ne farmaya:-

‘Jaao, Tumhare Oont khade ho gae hain.’

Unho ne waha jaakar dekha to wo Oont khade ho gaye they.

Iske baad Aap ne bahut saari karamaten dikhai, jisme Anna Sagar ko Apne

kaansey mei sama lena aur Ajaypal jadoogar ke phenke gae patthar ko

Aasman mei he Rok dena aur usko musalman banana mashhoor hai.

Aapne Apne Roohani fez

, Karamaat aur Husne Akhlaq

se Hindustan mei Islam ki Bunyad mazboot ki aur Bulandi aur Waqar ata farmaya.

Ek baar Aap Anna Sagar k paas se guzar rahe they ki Aap ne ek Aurat ki Roney ki Aawaz suni,  Puchne par pata chala k wo Aurat bahut Ghareeb thi aur uski gae (cow) mar gai thi, Aap us ke saath us gae ke paas gaye aur dua ki to wo gae zinda ho gai. Ye dekhkar wo aurat Aap k Qadmo mei gir gai.

589 Hijri mei Ajmer mei Shahabuddin Ghori Aap k Mureed bane.

611 Hijri mei Aap Delhi Tashreef le gaye.

Aap 7wi sadi ke Mujaddid hain.

Aap nei Bohat saari kitaabe likhi hain...

🌹🌹🌹🌹🌹🌹

-------------------

*Part 9.......*



*🚩Sultan ul Hind🚩*

   -----------------------------

Aap nei Bohat Saari kitaaben likhi hain,Jin mei Anees Al-Arwaa

aur Daleel-ul Aarifeen Mashhoor hain.


*🌹Aap farmaate hain:-*

_________________

1. Kisi ka Dil na dukhao, Ho sakta hai ki wo Aansu Tumhari saza ban jaaye.

2. Dukhiyo ki madad karna aur un ki fariyaad sunna Afzal Ibaadat hai.

3. Jhuti Qasam khane se ghar mei se Barkat chali jaati hai.

4. Hamesha sach baat kaha karo.


*🌹Aapki Biwia aur Bache*

______________________

Aapki 2 Biwiya thin aur 3 betey aur 1 Beti .


1. Bibi Ummatullah se (Nikah 590 Hijri) in se 3 bache hue:-

a. Khwaja Fakhruddin Rehmatullahi Alaihi

b. Khwaja Hishamuddin Rehmatullahi alaihi

c. Bibi Hafeeza Jamaal Rehmatullahi alaihi.


2. Bibi Asmatullah se (Nikah 620 Hijri) in se 


a. Hazrat Khwaja Ziyauddeen Abu Saeed Rehmatullahi Alaihi.


🌹Aap Khwaja Usman Harooni Rehmatullahi Alaihi k mureed aur

khalifa hain.

Aap se Hindustan mei Chishtiya silsila jaari hai.

Aap k bohat saare mureedo nei Hindustan mei deen e islam ki isha’at ka kaam jaari rakha.

Aapke 2 khalifa mashhoor hain:

1. 🌹Hazrat Khwaja Qutbuddin Bakhtiar Kaki

Rehmatullahi Alaihi

(Delhi)

2. 🌹Hazrat Khwaja Hameeduddin Naagori Rehmatullahi Alaihi

(Delhi)


🌹🌹🌹🌹🌹

*Part 10...*



*🚩Sultan ul Hind🚩*

        --------------------------

In k ilawa Aap k Silsile (khalifa k khalifa) mei bohat saare Awliya Allah

mashhoor hain.

1. 🌹Hazrat Khwaja Fareeduddeen Ganj e shakar Rehmatullahi

Alaihi

(Pak Pattan),

a. Hazrat Khwaja Alauddin Ali Ahmad Saabir Kaliyari

Rehmatullahi Alaihi

2. 🌹Hazrat Khawaja Shamsuddin Turk Rehmatullahi Alaihi

Panipati

3. 🌹Hazrat Khwaja Nizamuddin Awliya Rehmatullahi Alaihi

(Delhi)

4. 🌹Hazrat Khwaja Nasiruddin Chirag e Delhi Rehmatullahi

Alaihi

(Delhi),

5. 🌹Hazrat Ameer Khusro

(Delhi),

6. 🌹Hazrat Burhanuddin Ghareeb

(Khuldabad [Maharashtra])

7. 🌹Hazrat Jalaluddin Bhandari

(Fatehabad [Maharashtra]),

8. 🌹Hazrat Muhammad Hussaini Gesudaraz Banda-Nawaz

Rehmatullahi Alaihi

(Gulbarga [Karnataka])

9. 🌹Hazrat Sayyed Ahmad Badepaa

(Lancer [Hyderabad])

10. 🌹Hazrat Sirajuddin Aqi Siraj (Aaina-e-Hind) Rehmatullahi

Alaihi

(Gaur [West Bengal])

11. 🌹Sayyed Mahmood Kashkinakar Rehmatullahi Alaihi,

12. 🌹Hazrat Shah Niyaz Ahmad Rehmatullahi Alaihi

(Bareilly),

13. 🌹Hazrat Shaikh Ala-ul Haq Pandawi Rehmatullahi Alaihi

14. 🌹Hazrat Auhaduddin Makhdoom Ashraf Simnani

Rehmatullahi Alaihi

(Kichauchha),

15.🌹 Hazrat Sayyed Abdur Razzaq Noor ul Ain Rehmatullahi

Alaihi.


🚩🌹Hazrat Khwaja Usman Harooni aksar farmaya karte they k hamara

Moinuddin ALLAH Ta’ala ka mehboob hai aur mujhe Apne mureed

par fakhr hai.

(Miratul israr,page 591)


🌹🌹🌹🌹🌹

*Part 11...*



*🚩Sultan ul Hind🚩*

--------------------------

Hazrat Data Ganj Bakhsh Lahori k mazaar par muttakif Rehene k baad Apne ye Ashaar kahe:

“GANJ BAKHSH FAIZ E AALAM MAZHAR E NOOR E

KHUDA……NAQISA’N RA PEER E KAMIL KAMELA’N

RAHENUMA.”

(Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz hayat o talemaat,page 13)

♥♥♥♥♥♥️

Khwaja Gareeb Nawaz khud Anes ul Arwah mei tehrir farmate hain k hazrat Khwaja Usman harooni ki zeyarat k liye mei Baghdad pahoncha

aur 20 saal Aap ki khidmat mei reh kar zahiri aur batini safar tay kiye usk baad khurqa e khilafat

se musharraf huwa.

(mirat ul israr,page 590,)

♥♥♥♥♥♥

Khwaja Ghareeb Nawaz ne farmaya, Haq ta’ala k nazdeek behtareen ibadat mazlomo’n ki faryad Rasi aur bhoko’n ko khana khilana hai.

(Miratul israr,page 603,)

♥♥♥♥♥♥

Khwaja Ghareeb Nawaz nei farmaya, Aarif jo irada karta hai fora’n ho jata hai, aur jisse baat karta hai us se jawab sunta hai.

(Miratul israr,page 603,)

♥♥♥♥♥♥

Khwaja Gareeb Nawaz farmate hain, Aashiq ka dil jal kar raakh ho jata hai aur kuch baqi nahi rehta.

(Miratul israr,page 602,)

♥️♥️♥️♥️♥️♥️

Khwaja Gareeb Nawaz ki Ruhaniyat ab bhi talab e sadiq rakhne walo’n ki

tarbiyat karti hai aur martaba e takmeel tak pahonchati hai.

(Miratul israr,page 598,)

♥♥♥♥♥♥

Khwaja Gareeb Nawaz kisiko Islam ki dawat nahi dete they, jo shakhs khuloos e dil se khud ba khud Islam ki taraf mael hota tha aap usey qubool kar lete they.

(Miratul israr,page 596,)

♥♥♥♥♥♥

Khwaja Ghareeb Nawaz jab Nabi kareem Suallallaho Alaihi Wasallam k Roza e Mubarak par pahonche to un se hazrat Khwaja Usman harooni ne kaha k

salam karo to Khwaja Gareeb Nawaz ne salam arz kiya,Roza e Mubarak se Aawaz aai “walaikumussalam ya Qutub ul Mashaikh”

(Hayat e Khwaja,page 21,22,)

♥♥♥♥♥♥

Ek din Khwaja Ghareeb Nawaz R.A ka guzar kuffar k ek butkada par huwa us waqt 7 kafir buut parashti mei mashgool they, Aap ka jamal e ba kamal dekhtey he be bas ho gae aur qadmo’n mei aakar gir gae tauba ki aur musharraf ba islam ho gae.

(Miratul israr,page 595,)


🌹🌹🌹🌹

*Part 12.....*




*🚩Sultan ul Hind🚩*

------------------------

🌹Aap ka wisal 6 Rajab 633 Hijri (March 16, 1236) ko 97 baras ki umr mei

hua.

🌹Aap ka mazaar Ajmer (Rajasthan) mei hai. Wisaal k baad bhi Aap k faiz

aur karamaat jari hain.

🌹Aap k mazaar par haazir hone walo aur Aap k waseele se dua maangne

walo ko ALLAH ta’ala har nek jaiz murad ata farmata

hai, jis mei yeh

qissa bohat mashhoor hai.

🌹Ek baar Baadshah Aurangzeb Rehmatullah Alaihi

Khwaja Gareeb

Nawaz Rehmatullah Alaihi k mazaar ki ziyarat k liye Ajmer gae.

Ajmer pahunchkar unhone kaha:

‘Main maanta hu ke Khwaja Gareeb Nawaz Rahmatullah Alaihi

ALLAH ke wali hain magar main jab mazaar par unko salaam pesh

karu to mujhe jawab milna chahiye, warna main mazar ko tod

dunga.’

Wo jab wahan par pahunche to waha Andha ek shakhs baith kar ilteja kar

raha tha.

Unhone pucha:

‘Aye shakhs, kya maamala hai?'

Us shakhs ne kaha:

‘Main Bohat Arsey se Khawaja k waseele se dua kar raha hun k

mujhe Aankho ki Roshni mil jaaye. Lekin koi faida nahi hua.


🌹Aap ne us se kaha k Mei mazaar mei salaam kar k aata hun, Agar tujhe

Aankh ki Roshni nahi mili to talwar se teri gardan kaat dalunga,

Woh Andha shakhs pareshan ho gaya k ab to Aankh k saath jaan par baat

Aa gai hai ,Woh aur zor se Khwaja ke waseele se dua maangne laga.

Jab Aurangzeb ne Khwaja ko Salaam kiya to uska jawab na mila, dobara

Salaam kiya to jawab na mila, phir jab teesri bar Salaam kiya to Aahista se

jawab mila.

Phir Khwaja nei mazaar mei se farmaya:

‘Aye Aurangzeb, Aainda kabhi aisi zidh mat karna, Tumhari zidh

ki wajah se us Andhe shakhs ki Aankho ki Roshni laane k liye mai Arshey ilahi par gaya tha, Aur is liye salaam ka jawab dene mei thodi

der ho gai.

🌹🌹🌹🌹


*Part 13...*



*PEER O MURSHID K CHEHRE MUBARAK KI ZIYARAT KARNA*

🚩🚩🚩🚩🚩🚩🚩

___________________


🌹Sarkaar e Ghareeb Nawaz عنه االله رضي Apne Peero Murshid K Hawale

Se Farmate Hain:

‘Maine MA’ARIFATUL MUREDEEN Mai Padha Hai K Hazrat

Shaikh Khwaja Usman Harroni Rehmatullahi Ta’ala Alaihe

Farmate Hain:

🌹Jo Shakhs Apne Peer Ki Khidmat Dilo Jaan Se Karta Hai Allah

Ta’ala Usey Baghair Hisab K Jannat Mai Dakhil Karega Aur Usko

Motiyon K 1000 Mahal Ataa Karega, 1000 Saal Ki Ibadat Ka

Sawab Ataa Karega Aur 1000 Hooren Uss Ki Khidmat par

Mamoor Ki Jayengi.


🌹FAYDA: Itna Bayaan Kar K Sarkaar e Khwaja  Ki Aankho Se Ashq

Behne Lage Aur Aap Nei Farmaya K 🌹Qayamat K Din Awliya, Siddiqin, Aur Mashaekh e Tariqat Ko Qabro Se Uthaya Jayega to Un k Kandho Par Kamliya Padi Hongi.

Har Kamli K Sath Hazaaro Reshey Latakte Honge.

Un Buzurgo K Mureed Aur Aqeedatmand Un Reshon Ko Pakad Kar Latak Jayenge Aur Un K Sath Pulsirat Uboor Kar K Bahisht Mai Dakhil Ho Jayenge.

🌹SubhanAllah SubhanAllah Allahu Akbar


Ref:- [Seerat e Khwaja Ghareeb Nawaz عنه االله رضي Page No.453]

🌹🌹🌹🌹

*Last Part 14...*


JazakAllah o khaira for reading











Comments

Popular posts from this blog

UNEMPLOYABLE: How I Hired Myself

Echoes of Gasping Souls

Echoes of Loss and Longing Through Verses: A Look into Whispers of the Blue Ghost by Pratikshya Panda